This time on my blog read a Poem by a Sonneteria winner of udbhav’15 & 16 by Prakhar Tiwari
Like, Share and Follow his blog for more such poems.
http://ilovetoexpress.blogspot.in/
Paas ho kar door ho gaya..
Sajaya tha jo jaha wo choor ho gaya..
Roz nazar aane wala aaj ek noor ho gaya..
Tujhse bichadne ka mujhpar kusoor ho gya..
Asmaan se barasta pani meri zroorat ho gya ….
Tere to khwab se bhi mera sapna khoobsoorat ho gya….
Kinare par lahero ka intezar karta hu mai..
Udti hui mehek ka intezar krta hu mai..
Tere saath khai hui jo kasmein thi..
Unka tere sath pura krne ka intezar krta hu mai..
Asmaan se barasta pani meri zroorat ho gya ….
Tere to khwab se bhi mera sapna khoobsoorat ho gya….
Bahane to bahut dikhae tune kabhi meri aor bhi dkhti..
Tere raste me aaj bhi bahein khuli kar rkhi hai..
Tere deedar k lie aaj bhi ye aankhein bicha rakhi hain..
Teri ek muskraaht se ye saansein chalti thi..
Aaj kal to saansein bhi udhaar le rkhi hainn..
Asmaan se barasta pani meri zroorat ho gya ….
Tere to khwab se bhi mera sapna khoobsoorat ho gya….